Table of Contents
Parde Mein Rahne Do Lyrics
Parde mein rehne do, parda na uthao
Parde mein rehne do, parda na uthao
Parda jo uth gaya to bhed khul jayega
Allah meri tauba, allah meri tauba
Allah meri tauba, allah meri tauba (x2)
Mere parde mein lakh jalve hain
Kaise mujhse nazar milaoge
Jab zara bhi naqaab uthaungi
Jab zara bhi naqaab uthaungi
Yaad rakhna ke
Yaad rakhna ke jal hi jaoge
Haan to parde mein rehne do, parda na uthao
Parde mein rehne do, parda na uthao
Parda jo uth gaya to bhed khul jayega
Ui ui allah meri tauba, allah meri tauba
Allah meri tauba, allah meri tauba
Husn jab benaqab hota hai
Woh sama lajawab hota hai
Khud ko khud ki khabar nahi rehti
Khud ko khud ki khabar nahi rehti
Hosh wala bhi
Hosh wala bhi hosh khota hai
Haan to parde mein rehne do, parda na uthao
Parde mein rehne do, parda na uthao
Parda jo uth gaya to bhed khul jayega
Ui allah meri tauba, allah meri tauba
Allah meri tauba, allah meri tauba
Haye jisne mujhe banaya hai
Woh bhi mujhko samajh na paya hai
Mujhko sajde kiye hain insaan ne
Mujhko sajde kiye hain insaan ne
In farishton ne
In farishton ne sar jhukaya hai
Haan to parde mein rehne do, parda na uthao
Parde mein rehne do, parda na uthao
Parda jo uth gaya to bhed khul jayega
Ui allah meri tauba, allah meri tauba
Allah meri tauba, allah meri tauba
Ui ui ui allah meri tauba, allah meri tauba
Allah meri tauba, allah meri tauba
Track Info
- Song Name – Parde Mein Rahne Do Lyrics
- Singer – Asha Bhosle
- Lyrics – Hasrat Jaipuri
- Music – Shankar-Jaikishan
- Movie – Parde Mein Rahne Do (1968)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1968