Yeah!
Rob C
Hqeeqat ki baat hai ye dl ke jazbaat
Dil mera toote jab padhta akhbaar
Bade bade neta rehte bas chaaye
Desh mera vyast hai peene mein chai
Jo karam hai karta wo yahan hai marta
Jiski na income wo tax kyon bharta
Ye garmi ka paara jo sirr pe hai chadta
Phir ye bolein tu aage nahi badta
Yahan sab hai beemar sabko karni hai baatein
Bewajah gareeb ko maarni hai laatein
Ghar mein ho naukar aur lambi si gaadi
Latest fashion waali rakhni hai daadhi
Insta pe follower chahiye laakhon
Whatsapp group mein bhi janta ko baanto
Free ka hai khaana par karna hai waste
Munh pe hai kehna bhai fuddu tha taste
Sharabein hain peeni, Gaali ni khaani
Ego hai chhoti, Chhati foolani
Kisko main milu aur kiski main chaatun
Jo asli hai bande wo ban rahe hain jhaatun
Note bandi note bandi wo tha bahaana
Aab bante ye sant kyonki vote kamana
Aao yahan life badi rough,
Yahan leather ka joota bhi nahi hai tough
Aache din na aaye bas aayi lambi raatein
Full public view mein kiye gaye jhoothe vaade
Baaki ki baatein toh bs thi
Sabse bada sabak tha gst
Main desh ka jawaan yahan rulti jawaani
Mere sirrpe hai tension na ladki fasaani
Chhoti umar mein baal hain safed
Safed hain jooth aur mujhe hai khed
Mujhe maarenge goli jo kholunga bhed
Jungli hoon saand hoon nahi main bhed
Mera karo mooh band kyonki mujhe hai jeena
Par aisa jeena wo bhi kya jeena
Yaar mere bole tu gum mein bhi pee na
Khud ki hi fati toh khud hi ko seena
Hqeeqat ki baat hai ye dl ke jazbaat
Dil mera toote jab padhta akhbaar
Bade bade neta rehte bas chaaye
Desh mera vyast hai peene mein chai
Jo karam hai karta wo yahan hai marta
Jiski na income wo tax kyon bharta
Ye garmi ka paara jo sirr pe hai chadta
Phir ye bolein tu aage nahi badta
Jhoothe inke waade
Jhoothe ye iraade
Desh ko ye baante
Raat ko lete kharaate
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Jhoothe inke waade
Jhoothe ye iraade
Desh ko ye baante
Raat ko lete kharaate
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Ye gaana nahi ye thi dabi awaaz
Na sunte ye meri ye mere alfaaz
Gharwale kehte kab aayega baaz
Par sach ka hamesha main deta hoon saath
Jo gira hua usey haath pakad ke uthaana hai mere hi kaam
Kya ghante ka artist agar sunne waalo ne yaad na rakha mera naam
Main jeeta hoon roz yahan marne ke liye
Bas gaane main likhta kuch karne ke liye
Na kisi pe karta main beere bharosa
Bas dhokhe main khaata jaise samosa
Mandi ki haalat mein na chale akalmandi
Jyaada agar bola toh mujhpe lagegi paabandi
Thoo-thoo-thoo aaj karne do spit
Dil ki bhaadas yaara lagge mujhe lit
Main banda psycho jaise padte hon fit
Par desh chalaane ke liye main fit
Labels mujhe kehte gaane hume dedo hit
Budget ke naam par ye karte hain flip
Naa jaane kya hoga kuch hoga ya nahi
Dimag ki dahi par rasta hai sahi
Chahe ho hindu ya sikh ya parsai isahi ya phir musalman
Mere desh mein aaj har banda ghooome pareshan
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Pareshan-pareshan-pareshan main toh
Pareshan-pareshan-pareshan
Track Info*
Song Name – Pareshaan
Artist – Rob C
Lyrics – Rob C
Music Re-Produced By – D-Ace
Release Date – 2 March, 2019