Sabar Lyrics – Jokhay | Shareh, JJ47, Talha Anjum

Released on:

Views:

- Advertisement -

Sabar Lyrics (Hinglish Version)

[Verse 1: Shareh]
Wo behis kis kadar ke, mudke puche haal nahi
Wo patthar dil thi kaafi, usme koi sawaal nahi
Manaya sog nahi, us din aisa saal nahi
Main bewajah ki raahe dekhun
Mujhko wo bas taal rahi
Aur ab yun talte-talte din bhi aise katenge
Main peeke maangu aur ye jaam aise bharenge
Hum kadwe ghoont peeke dante aise rahenge
Manayenge jo jashan tere naam se hi sajenge
Aur nahi hum tere muqalif
Badkismati saath thi mere mutabik
Aur nahi kuch khuli fizaa ne
Hum raste pe chal pade bhatke musafir
Aur thi jo koi badal si narmi,
wo lagte mujhko chubhte hue se kaante
Aur thi wo koi paagal si ladki,
bahane jo pyaar ke diye dilaase
I see the world around me all of this is happening
They cursed me everytime, jab baato me bache facts nahi
Pahunche paigaam mujh tak kaise ye phir
Aakhir us par likhe kitte gaane lekin sunti hai wo rap nahi (Nahi)

[Chorus: Jokhay]
Wo kaisi shaam jisme gham na tha (Na-Na-NaNa)
Tere naam kiya sab yahan (Yahan)
Dil ko tasalli deke, tera hai saath (Saath)
Samjhaye khud ko kaise sab kuch ho chuka ra-aa-aakh

Muskurata leke dil me ab dard (Dil me ab dard)
Baitha chupke logo se kaisa ye darr
Gungunata leke tera asad
Khawabi do aankhein karke baitha sabar

- Advertisement -

[Verse 2: JJ47]
Raat abhi bhi jawaan hai, Tujhe jaldi padi hai
Tum waqt ki paaband, Mere paas bhi ghadi hai
Kya baithne ka puchu?, Tu kyun khidki khadi hai!
Aao tumpe geet likhun, ye kalam nahi, jaadu ki chadhi hai
Pade glass, barf padi hai, Eazy teri taraf padi hai
Hume kahan chadhi teri tadap badi kya nazar lagi hai

Jaao tumhe ab jeet mubarak
Mujhse jyada neend mubarak
Sog ka koi mol nahi
Kalakaar ko geet mubarak

Kamre me hai hi ni khidki
Dekhun kaise suraj ki kirne
Hum jo patthar ban yu khade hai
Rabb mera deta nahi mujhe girne

Meri sadaqat, meri hai taaqat
Mere mohalle me meri khilafat
Agar main bolun dha dun qayamat
Agar jo likhdun hoti ibadaat

Na meri bhookh hai, na pyaas hai
Toh ye sote na mere waale log
Bhulakkad kya-kya bole, kya mere baare, kya tere baare?
That’s fucked up! na takht ab
Ab main hosh me, na sakht ab
Na peer hun, na bhakt ab
Na gaane, na waqt ab

- Advertisement -

[Chorus: Jokhay]
Wo kaisi shaam jisme gham na tha (Na-Na-NaNa)
Tere naam kiya sab yahan (Yahan)
Dil ko tasalli deke, tera hai saath (Saath)
Samjhaye khud ko kaise sab kuch ho chuka ra-aa-aakh

Muskurata leke dil me ab dard (Dil me ab dard)
Baitha chupke logo se kaisa ye darr
Gungunata leke tera asad
Khawabi do aankhein karke baitha sabar

[Verse 3: Talha Anjum]
Gira diya jaam jo maine toh jaan tu ab nazro se pila
I’m faded as fuck, can’t even move, Kamra ye hilta raha (Phir)
Chal diye teri taraf, na sadak ki khabar, na safar ka pata (NaNa)
Roshni dhundhe ye dil, andhero me baithega kab tak bhala? (Kab tak bhala?)
Likha hai bachpane se, ab likhun toh sochun ke likhun bhi kya? (Kya?)
Kya ye sab pehle bhi keh chuka, ye gham toh bik chuke pehle yahan (Yeah-Yeah)
Main bheed me ghulke bhi kitna akela hun, see how I stand out (Yeah-Yeah-Yeah)
Ab reach karna chah rahe log, see how people got their hands out
Kuch kehna chahun toh na keh paau(keh paau)
Noto se bhare ye bag laau
Main raaho pe focused hun, Consistency rakho, main sabko ye kehta hun (Facts, facts)
Ye kala phir pet bhi bharegi, Plate bhi bharegi, seth bhi banega, gate pe log jo, stage tak chalenge, Stakes are high,
Wo faaqe aqeede badal gaye, wo galiyan badal gayi, wo zeene badal gaye
Hum peene baithe the, seene me leke ab dard, wo dard bhi seene me pal gaye (Yeah, yeah)
Shareek toh peeke nikal gaye
Mera jawaab mere amal ka hai
Churriyan chali hai jaan ko khatra hai
Dil ke mohalle me hungama barpa hai

[Chorus: Jokhay]
Wo kaisi shaam jisme gham na tha (Na-Na-NaNa)
Tere naam kiya sab yahan (Yahan)
Dil ko tasalli deke, tera hai saath (Saath)
Samjhaye khud ko kaise sab kuch ho chuka ra-aa-aakh

Muskurata leke dil me ab dard (Dil me ab dard)
Baitha chupke logo se kaisa ye darr
Gungunata leke tera asad
Khawabi do aankhein karke baitha sabar

Track Info

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising