[Intro: Bharat Chauhan] Sab kuch likhoon ya kuch bhi na likhoon? Kya hi likhoon ke tujhko na likhoon?
[Verse 1: Bharat Chauhan] Bhatka raha hoon in andheron mein yun hi Naraz chaand hai ya taaron ki kami? Jo khwaab dekhe the in aankhon ne kabhi Un khwaabon ki kahi hai raakh bhi nahi Kaha tha mujhko jisne "ghar" kabhi Rukhsat hua, jala gaya vo sabhi Wafa se hi mujhe wafaat ki ummeed Hain gham mile to aaj vo hi kareeb
[Chorus: Bharat Chauhan] Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko
[Verse 2: Calm] Kalam main chhodoon jab, tujhe main dikhunga jaisa hoon asal mein main Dikhunga tujhe jab aankhon se parda hatayegi tu bagal mere Par bagal mein rehna tu, rehna tu asal, na kisi ki nakal tu rah Aur agar tu nakal to teri is kamal si shakal ka karoon kya main? Ye shayari hai tere layak nahi to shayad hi tere kisi kaam aayegi Aur ab bhi hai khatakti teri yahan kami Ye khali ghar hai jaise sookhi koi nadi Aur tu hai jo yahan aaj jalpari bani Par hai samandar phir bhi khaara hi to hi Ye khel hai aisa jismein phans chuke hain main aur aap bhi To kya hua agar main likhte waqt banoon sharabi? Aur is samay in cheezon mein nahi dikhti koi kharabi Jab guzrega ye pal to aayegi nahi tu yaad zara bhi
[Chorus: Bharat Chauhan] Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko
[Bridge: Bharat Chauhan] Gira ke mujhe in andheron mein, maazi mera saath aaya hai Gira ke mujhe in andheron mein, maazi mera saath aaya hai Ajab shakhs hai, qatl bhi kiya aur gale bhi lagaya hai Gale bhi lagaya hai Chhu ke jalaya hai
[Verse 3: Encore ABJ] Jalna nahi, tu sooraj nahi, tu chaand hai mera Dikhe to hai ujala, nahi to hai andhera Aur har raat hain tere alag bhes Aa ghumaun tujhko alag desh mein alag se Garjate ye badal, tere-mere beech baarish ho rahi hai Main chillaa raha hoon dard se Aur soch raha hoon, "Uska arth kya hai?" Main soch raha hoon, "Mera farz kya hai?" Jaise-jaise dil ki chotain khaata, vaise pata chalta, "Hona hota mard kya hai?" Na, main nahi hoon koi shayar Baatein banane ki fitrat hai dil mein par likhta hoon kyun ki main nahi hoon koi kaayar Main nahi hoon koi kaayar, main hoon bahut hi mahir Main duniya ghumoon jaise pahiya aur tire Main fire, ye chahte main hoon jaun retire I tried lekin yahan dil ke hain bajte sitar har baar Kahaniqar
[Spoken Word: Encore ABJ] Aur haan, mera chaand nahi dikha mujhe phir kabhi Baadal aaye, baadal barse, baadal chhate Kai raat ki amaavas aayi Phir chaand aaya par vaisa nahi aaya
[Chorus: Bharat Chauhan] Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko Meri shayari se na mujhko aanko Jahan kalam chhodoon main, vahan mujhmein jhanko