Shayad Lyrics – Jokhay | Ft. Talhah Yunus, JJ47

Released on:

Views:

- Advertisement -

Shayad Lyrics

[Verse 1: Jokhay]

Kathin safar, mili khabar, kinare pe wo apna ghar
Hare jakham, hai aankhe nam, chalte rahe, ya kare sabar
Phir chal diye kandho par leke bojh
Hai aage ranzishe aur dogle log
Ke lagte hai apne ab toh paraye (Paraaye)
Hai aankho me aansu, karta na koi gaur

Kehta hun sach, lage sabko jhooth
Maanta na koi, mera kya kasoor
Dard yun sahte kya kisi ko kahte
Rahte zameen pe, na koi guroor
Kya kuch suna, kya kuch kaha
Chaadar thi chhoti main akda raha
Ghut’ta raha, dil dukhta raha
Kaise main dikhta, main chhupta raha
Kaanto me simta jaise chubhta raha
Iraade the nek par koi sunta na tha
Toh kaisi galat fehmiya mere baare
Jab bogus main kisi se rakhta na tha
Aaye meri yaad jab aaye mujhe maut
Meri kadar nahi thi par shayad ab hai thodi bahut
Mere jaane ke baad ke sab yaad rakhe mujhe
Par asliyat yahi ke kuch din kamana tha ye show

[Hook: Talhah Yunus]

Shayad tujhse khwabon me milu
Kya karun in yaadon se ab ladun
Mai andar se mar chuka ab kaise jiyun
Gham hi itne kya kya main chupata firun
Ghooth raha hun bheedh me jeene toh do
Khulke yahan saans hi lene toh do
Tarse ek ghoonth ke tum peene toh do
Kyun mujhe dhundhte bhai jeene toh do

- Advertisement -

[Verse 2: JJ47]

Darham barham lakin phir bhi kesay bharam dekh
Juala khoon tabhi hojata hai garam dekh
Jhoti batien mujhse hoti nahi hazam dekh
Jitney bhi banjae sakht laundey dil k naram dekh
Mera Azam mera qadam mera qalam dekh
Mere ganey meri kala Meri nazam dekh
Karam dekh! jakey Kahin marham dekh
Tujhe dikhay jo tattoo meri body pe wo zakham they
lehjay naram they! Ab phenkey agg kyun
Tum sage nahi mangtey hisaab kyun
Tum khuda nahi! Meri cheentey khurrak kya
Totan fitney dalo bewaja Azaab kyun
Junooni khoon justju kaha hai
Tu bhagey jiskey pechey wo ru ba ru kaha hai
Urdu hiphop meri Urdu kaha hai
Tu hiphop, J Khud tu kaha hai
Holy talk! Mera wazu kaha hai
Banton Ilam tarazu kaha hai
Hath dua ko nahi uthtey
Mera dil mere Baazu kaha hai
Harey hain jeetey hain
Anso ko petey hain
Dil k yeh pheekien hain
Janey tareeqey hain
Zakhmo ko seetey hain
Gir k hi seekhien hain
Aeney main dekh hum
Khud pe bhi cheekien hain
Meri hustle mera pait bharey!
Tujhe dikhey jo wo mehnat wo luck nahi
Main manzil pe pucha
Jab k pata koi rasta, pata koi sarak nahi
Zindagi ney sakht kia
bachpan karak nahi!
Mu bal girey par Gaye to bathak nahi
Ganey krney hain jokhay!
Tujhe pata bhujhi abhi meri tarap nahi

[Hook: Talhah Yunus]

Shayad tujhse khwabon me milu
Kya karun in yaadon se ab ladun
Mai andar se mar chuka ab kaise jiyun
Gham hi itne kya kya main chupata firun
Ghooth raha hun bheedh me jeene toh do
Khulke yahan saans hi lene toh do
Tarse ek ghoonth ke tum peene toh do
Kyun mujhe dhundhte bhai jeene toh do

[Verse 3: Talhah Yunus]

Han rehte hum zone mai,
Beth meri class mai sab jaanay k hu kon mai?
Khuda ne cheenay log tabhi khara microphone pe,
Pistol mere hath mai par apne mujhe rok len,
Akelay bethay sochte, agay hain teri soch se,
Khuda k is hi khof se, na laray kabhi shauq se,
kutte maine paalay jo ab woh hi mujhpe bhonkte,
Baaten itni asal asar choren, kharay rongtay,
Ashqon ka darya ye, doobay mere apne,
Kese na phir kooday jeben patharon se bhar ke,
Mai Khuda k saharay, wuhi pooray karay sapnay,
Wuhi dikhaata rastay, wuhi sonay ko chatt de,
Ye dunya walay samjhen mujhe hosh nahi hai,
Industry ye mulaazom meri, dost nahi hai.
Andheray bhi ye darren meri roshni se,
Na samajh ko dosh den wo soch nahi haii,
Kia larru in mehmamon se, kia darru in divanon se?
Kia rahu asmaanon pe, aur badalon se gaanay den,
Woh darren in nigaahon se, jab studio ho baahon mai,
Mai likh raha alag saalon se, jab samjhe nai kia maanogay,
Dhund bilmuqaabil, laray hue hum tou maut se,
Sarak se shuru hue ab dikhen billboard pe,
Asla bina license k leke pohanchu mai shoot pe,
Ye bilawaja shorr in ko chahnay wale thokk den,
Woh bhi ashiq thay hamare, jo humein qaatil bata rahe,
Maine dekhay woh nazare jab yahan jeenay k thay laalay,
Phir bhi darrti ye salaakhen kehteen is ko kon sambhaale
Hum in lafzon k saharay, logon ko jeena sikha rahe,
Bahen aise k khud raah dhund lete,
Dilon pe hai qabu hota jadu jese
Verses aise baantay hain bol kia lu pese,
Daaka pooray shehr pe, hum daku aise.

[Hook: Talhah Yunus]

Shayad tujhse khwabon me milu
Kya karun in yaadon se ab ladun
Mai andar se mar chuka ab kaise jiyun
Gham hi itne kya kya main chupata firun
Ghooth raha hun bheedh me jeene toh do
Khulke yahan saans hi lene toh do
Tarse ek ghoonth ke tum peene toh do
Kyun mujhe dhundhte bhai jeene toh do

Track Info

  • Song Name – Shayad Lyrics
  • Artist – Umair Khan aka Jokhay
  • Featuring – Talhah Yunus, JJ47
  • Produced by – Umair Khan aka Jokhay
  • Written by – Jokhay, Talhah Yunus, JJ47
  • Release Date – 15 Dec, 2021

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising