Shayar Lyrics – Jokhay | Talhah Yunus, JJ47

Released on:

Views:

- Advertisement -
Shayar Lyrics - Jokhay Talhah Yunus, JJ47
Shayar Lyrics – Jokhay Talhah Yunus, JJ47

Shayar Lyrics

[Verse 1: JJ47]

Mehal o Moti Jaagirien
Dhan Dolat dushman Zanjeerien
Main dekhun bs ab khuwab barey
Chahye Haq main na hon yeh Tabieerien
Torun bandish kaha chabi rey
Dil wazni khud ko hasa bhi rahey
Main roz hi larun Ik Jung khud sey
Jeetu aur khud ko hara bhi rahey

Yeh log mujhe asrey detey
Parhey likhey ko nazrey detey
Bina par bhi main urna chahta
parinda Samajh yeh mujhe baajrey detey
Fani yeh raaj nahi rehtey
Sir jhuktey unchey taaj nahi rehtey
giley bhi main Karun kya
Abey chutiye! Mujhe yad nahi rehtey

- Advertisement -

Dil main jo kehdi Khari baat
Bs krney sey darta ab Bari baat
Meri lafz hi baney meri jaidad
Tu hai khali khali teri kainaat
Phir aye yaaad! Woh haalat
Mere log! OG! Day one sey hi sath
Tum syed ho ya achut koi
main nahi dekhta hun Zaat watt

Alag rakhta hun! Farak rakhta hun
King pin hun Nazar main sab rakhta hyn
Beetien mangti panah! Ghazab rakhta hun
Main to khooni likhari Alag rakhta hun
Lafzon main shayad wazan rakhta hun
Main aesi shartien bhi kab rakhta hun
Tum bolney ko bolo main sab rakhta hun
Tum sab rakho Aur main Rab rakhta hun

Woh to Darta bro
Kya Kya krta bro
Woh to teri meri tarah ik aam sa hi hai larka bro
Phir bhi hasta bro
Khud sey larai Khudi larta bro
Music krna chahta phir Kyun na krta bro
Woh to studio ko samjhta hai darga bro

 

[Chorus: Talhah Yunus]

- Advertisement -

Baaten hum peete gaye, labbon ko seete gaye,
Dunya k liye tou dheet hi rahay,
wo chahtay harana hum jeetay rahay,

Seekhe saleekay baray, wo seekhay tareekay baray,
Industry kyun ab aa ke peeche paray?
Ye chahtay giraana par neeche rahain!

 

[Verse 2: Talhah Yunus]

Guzaari hain ghurbat mai raaten kayi,
Kitaabon mai milni nai baaten meri,
Musaafir hi sahi hum log qaatil nahi,
Suuraj se chupte wo baadal nahi,
hum tou pagal hi sahi , ho ujaaagir hi nahi,
ye basti agar hum hon haazir hi nahi,
Hum bahadur hi sahi, mili chaadar hi nahi,
Pau phelatay tou hoti ye aamad nahi,

Hum kho bethey apno ko, pooray karay sapno ko,
Torengay nai qasmon ko, dard deta nazmon ko,
Safar kiya chappalon mai, gin mere qadmon ko,
bharay hum tou zakhmon ko, gin mere apno ko,
Fame ko lia na kabhi sarr pe,
Ye larke jo karte hum chor bethay kar ke,
Hum aag jese bharkain, ye raakh hote jal ke,
Ankhon k neeche halkay, ye kaghaz bhi ab darrte..

I’m illest with the lyrics, I go “watch the throne”,
Watch your tone when you talk I’m like “Al Capone”
Microphone ko jalla den mere fighter flows,
Oh ! “When I be on the mic”, good time to go,
“Paid in full” mere lafz karen rhyme control,
Mind control.. I’m the Rhyme Lord, I rhyme to glow,
Science decode karo baby I just grind to show,
Einstein with these flows, cosign tou do,
Humein bhi time tou do, hum sayeen k dost,
Takhno se ooper rakhe painche ko, nice to know,
It’s all about the vision, healthy mindset bro,
Khan ko sirf Mighty do, milti apni psyche bro,
Chappal thi wo bhai ki, ab pehne humne Nike bro.
Aa ke mujhse life seekho, launday saaray “type C” jo
Tight karu, light karun joint, mai tou flight par hu
Never mind, ye Rappers chahte inhe muft ki hype de du..

Inhe qadar nahi hai logon mai woh sabar nahi hai,
Dunya badal gayi par maut meri cousin nai hai,
Verse hote khatem nahi, beaton se meri tussle bhai,
Ye hustle itni asal meri legacy nai khatem honi,

Hum ghar pe larray thay, apne hi sagge se,
Khuaabon ko sametay, hum chaltay banay thay,
Ye dunya sab dekhay, woh ghar ke baray thay,
Lagate gallay se par mil na sakay thay,

“Zakhm jhelay daagh khae bhi bohat”
– Meer Taqi Meer

Apno ko sataeee bhi bohat,
Hum shuru se sakhi thay Meer,
Kese aye is shayar ko maut?

Zakhm jhelay daagh khae bhi bohat,
Apno ko sataeee bhi bohat,
Hum shuru se sakhi thay Meer,
Kese aye is shayar ko maut?

 

[Chorus: Talhah Yunus]

Baaten hum peete gaye, labbon ko seete gaye,
Dunya k liye tou dheet hi rahay,
wo chahtay harana hum jeetay rahay,

Seekhe saleekay baray, wo seekhay tareekay baray,
Industry kyun ab aa ke peeche paray?
Ye chahtay giraana par neeche rahain!

Track Info

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising