[vc_row][vc_column][vc_column_text]Dekho inhein yeh hain oas ki boodein
Patton ki god mein aasman se khoodein
Angdayi lein phir karwat badal kar
Naazuk se moti hans dein phisal kar
Kho na jaayein yeh.. Taare zameen par

Yeh to hain sardi mein dhoop ki kirnein
Utre jo aangan ko sunehara sa kar dein
Man ke andheron ko roshan sa kar dein
Thithurti hatheli ki rangat badal dein
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Jaise aankhon ki dibiya mein nindiya
Aur nindiya mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaaye farishta sa koyi
Jaise rangon bhari pichkari
Jaise titliyan phoolon ki kyaari
Jaise bina matlab ka pyara rishta ho koyi
Yeh to asha ki lehar hai
Yeh to ummeed ki sehar hai
Khushiyon ki mehar hai
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Haan… haan… aa..

Dekho raaton ke seene pe yeh to
Jhilmil kisi lau se uge hain
Yeh to ambiya ki khushbu hai
Baagon se beh chale
Jaise kanch pe chudi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Yeh bansi koi bajaaye pedoon ke tale
Yeh to jhoke hain pawan ke
Hain yeh gungroo jeevan ke
Yeh to sur hain chaman ke
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Mohalle ki raunak galiyan hain jaise
Khilne ki zid par kaliyan hain jaise
Mutthi mein masam ki jaise hawaein
Yeh hain buzurgon ke dil ki duayein
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

[Taare Zameen Par]

Kabhi baatein jaise daadi-naani
Kabhi chhu ke jaise num num pani
Kabhi ban jaayein bhole saawalon ki jhadi
Sannaate mein hansi ke jaise
Soone hothon pe khushi ke jaise
Yeh to noor hai barse gar teri kismat ho badi
Jaise jheel mein lehraayein chidiyan
Jaise bheed mein apne ka kaandha
Jaise man-mauji nadiya
Jhaag udaaye kuchh kahe
Jaise baithe baithe meethi si jhapki
Jaise pyaar ki dheemi si thapki
Jaise kaanon mein sargam hardam bajti hi rahe
Jaise barkha udaati hai bundiya

Ho.. kho na jaayein..
Kho na jaayein…
Kho na jaayein
Kho na jaayein…
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh..[/vc_column_text][vc_custom_heading text=”Track Info” font_container=”tag:h4|text_align:left” google_fonts=”font_family:Roboto%3A100%2C100italic%2C300%2C300italic%2Cregular%2Citalic%2C500%2C500italic%2C700%2C700italic%2C900%2C900italic|font_style:700%20bold%20regular%3A700%3Anormal”][dt_vc_list]

  • Song Name – Taare Zameen Par
  • Singer – Shankar Mahadevan, Dominique Cerejo, Vivieanne Pocha
  • Lyrics – Prasoon Joshi
  • Music – Shankar Ehsaan Loy
  • Movie – Taare Zameen Par (2007)
  • Song Label – T-Series
  • Release Date – 4 Nov, 2007

[/dt_vc_list][/vc_column][/vc_row]