Taare Zameen Par Lyrics – Shankar Mahadevan, Dominique Cerejo, Vivieanne Pocha

Taare Zameen Par Lyrics

The title track, “Taare Zameen Par,” from the 2007 film Taare Zameen Par, is a heart-touching composition sung by Shankar Mahadevan, with lyrics by Prasoon Joshi and music by Shankar–Ehsaan–Loy. The song beautifully portrays the innocence, purity, and untainted imagination of children — symbolising them as “stars on earth.” Its poetic imagery and soulful melody have made it one of the most iconic songs in Indian cinema.

Dekho inhein yeh hain oas ki boodein
Patton ki god mein aasman se khoodein
Angdayi lein phir karwat badal kar
Naazuk se moti hans dein phisal kar
Kho na jaayein yeh.. Taare zameen par

Yeh to hain sardi mein dhoop ki kirnein
Utre jo aangan ko sunehara sa kar dein
Man ke andheron ko roshan sa kar dein
Thithurti hatheli ki rangat badal dein
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Jaise aankhon ki dibiya mein nindiya
Aur nindiya mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaaye farishta sa koyi
Jaise rangon bhari pichkari
Jaise titliyan phoolon ki kyaari
Jaise bina matlab ka pyara rishta ho koyi
Yeh to asha ki lehar hai
Yeh to ummeed ki sehar hai
Khushiyon ki mehar hai
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Dekho raaton ke seene pe yeh to
Jhilmil kisi lau se uge hain
Yeh to ambiya ki khushbu hai
Baagon se beh chale
Jaise kanch pe chudi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Yeh bansi koi bajaaye pedoon ke tale
Yeh to jhoke hain pawan ke
Hain yeh gungroo jeevan ke
Yeh to sur hain chaman ke
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Mohalle ki raunak galiyan hain jaise
Khilne ki zid par kaliyan hain jaise
Mutthi mein masam ki jaise hawaein
Yeh hain buzurgon ke dil ki duayein
Kho na jaayein yeh.. taare zameen par

Kabhi baatein jaise daadi-naani
Kabhi chhu ke jaise num num pani
Kabhi ban jaayein bhole saawalon ki jhadi
Sannaate mein hansi ke jaise
Soone hothon pe khushi ke jaise
Yeh to noor hai barse gar teri kismat ho badi
Jaise jheel mein lehraayein chidiyan
Jaise bheed mein apne ka kaandha
Jaise man-mauji nadiya
Jhaag udaaye kuchh kahe
Jaise baithe baithe meethi si jhapki
Jaise pyaar ki dheemi si thapki
Jaise kaanon mein sargam hardam bajti hi rahe
Jaise barkha udaati hai bundiya

Ho.. kho na jaayein..
Kho na jaayein…
Kho na jaayein
Kho na jaayein…
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh
Kho na jaayein yeh..

तारे ज़मीन पर Lyrics

देखो इन्हें ये हैं ओस की बूंदें
पत्तों की गोद में आसमान से कूदें
अंगड़ाई लें फिर करवट बदल कर
नाज़ुक से मोती हँस दें फिसल कर
खो न जाएं ये… तारे ज़मीन पर

ये तो हैं सर्दी में धूप की किरनें
उतरे जो आँगन को सुनहरा सा कर दें
मन के अंधेरों को रोशन सा कर दें
ठिठुरती हथेली की रंगत बदल दें
खो न जाएं ये… तारे ज़मीन पर

जैसे आँखों की डिबिया में निंदिया
और निंदिया में मीठा सा सपना
और सपने में मिल जाए फ़रिश्ता सा कोई
जैसे रंगों भरी पिचकारी
जैसे तितलियाँ फूलों की क्यारी
जैसे बिना मतलब का प्यारा रिश्ता हो कोई
ये तो आशा की लहर है
ये तो उम्मीद की सेहर है
खुशियों की मेहर है
खो न जाएं ये… तारे ज़मीन पर

देखो रातों के सीने पे ये तो
झिलमिल किसी लौ से उगे हैं
ये तो अम्बिया की खुशबू है
बागों से बह चले
जैसे काँच पे चूड़ी के टुकड़े
जैसे खिले खिले फूलों के मुखड़े
ये बंसी कोई बजाए पेडों के तले
ये तो झोंके हैं पवन के
हैं ये घुँघरू जीवन के
ये तो सुर हैं चमन के
खो न जाएं ये… तारे ज़मीन पर

मोहल्ले की रौनक गलियाँ हैं जैसे
खिलने की ज़िद पर कलियाँ हैं जैसे
मुट्ठी में मौसम की जैसे हवाएँ
ये हैं बुज़ुर्गों के दिल की दुआएँ
खो न जाएं ये… तारे ज़मीन पर

कभी बातें जैसे दादी-नानी
कभी छू के जैसे नमी-नमी पानी
कभी बन जाएँ भोले सवालों की झड़ी
सन्नाटे में हँसी के जैसे
सूने होंठों पे खुशी के जैसे
ये तो नूर है बरसे गर तेरी किस्मत हो बड़ी
जैसे झील में लहराएँ चिड़ियाँ
जैसे भीड़ में अपने का कंधा
जैसे मन-मौजी नदिया
झाग उड़ाए कुछ कहे
जैसे बैठे-बैठे मीठी सी झपकी
जैसे प्यार की धीमी सी थपकी
जैसे कानों में सरगम हरदम बजती ही रहे
जैसे बरखा उड़ाती है बूँदियाँ

हो… खो न जाएं
खो न जाएं
खो न जाएं
खो न जाएं
खो न जाएं ये
खो न जाएं ये
खो न जाएं ये
खो न जाएं ये…

Taare Zameen Par Translation

Original (Hinglish)English Translation
Dekho inhein yeh hain oas ki boodeinLook at them, they are drops of dew
Patton ki god mein aasman se khoodeinJumping from the sky into the lap of leaves
Angdayi lein phir karwat badal karThey stretch and then turn over
Naazuk se moti hans dein phisal karLike delicate pearls that smile while slipping
Kho na jaayein yeh, taare zameen parMay these not be lost, these stars on earth
Yeh to hain sardi mein dhoop ki kirneinThey are sun rays in winter
Utre jo aangan ko sunehara sa kar deinThat descend and brighten up the courtyard
Man ke andheron ko roshan sa kar deinThey illuminate the darkness of the heart
Thithurti hatheli ki rangat badal deinThey change the color of shivering palms
… (and so on for all verses)

Track Info

Music Video

FAQs

Who sang the song Taare Zameen Par?

The song is sung by Shankar Mahadevan.

Who wrote the lyrics of Taare Zameen Par?

The lyrics were written by Prasoon Joshi.

Who composed the music for Taare Zameen Par?

The music was composed by Shankar–Ehsaan–Loy.

Which movie features the song Taare Zameen Par?

The song is from the film Taare Zameen Par (2007).

What is the theme of the song Taare Zameen Par?

The song celebrates childhood innocence, imagination, and hope.

Heyyyyyy

Lyrics for Everyone!

  • Found the perfect lyrics? Share them with those who’ll appreciate them! Music is for everyone, and sharing is caring.

Help Us Improve!

  • Your feedback is invaluable! Share your thoughts and ideas so we can keep making SnoopLyrics the best place for lyrics lovers.

Recently Released

Leave a Reply

Weekly Popular