Talaash Lyrics – Jokhay | Ft. Danish Roomi, Shareh, Nabeel Akbar

Released on:

Views:

- Advertisement -

Talaash Lyrics

[Pre chorus: Danish Roomi]

Ab dil bhari hai
Seenay mein kayy hein sawal
Phir rooh khali hai
Mat pucho kya hai haal

Adhe adhe se chand pay
Pura kyun ek daag hai
Sad manzar mein hai
Magar phir bhi kyun firaag hai

[Chorus: Danish Roomi]

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai
Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

- Advertisement -

[Verse 1: Shareh]

Talaash hai zindagi ki,
Jeeney say phir dil-lagi ki,
Teri hi bandagi ki,
Adat mujhko lag chuki thi,
Ehsaas-e-kamtari,
Nazrey kiukay bhar chuki thi,
Apno ka saahaara,
Par mehez wou bus sympathy thi,

Iss tootay dil k tukro ko kese jama kare,
Bhari jholi khaali dard kese bayaan kare,
Behiss zamana, kiya yeh sharam kare, haya kare
Chupay kitnay gham ab yeh lafz inko bayaa kare

Paas nahi tu, mujhe lagey sab door kyu,
Khaas tha wou saath, ya mai cheez wou fuzool kyu,
Aj ki yeh raat teri maang pr mehdood yu,
Ehsaas ki yeh baat par houta hai mehsoos kyu,

Waqt ki zanjeerou mai,
Mai khush hu bus tasveero mai,
Itna hi tha sath jitna haath ki lakeerou mai,
Bus khud ki hai talaash tou mashoori hogayi peero mai,
Kuch chora hi nahi tou ab kiya khaak mujhse cheenougay,

[Pre chorus: Danish Roomi]

Ab dil bhari hai
Seenay mein kayy hein sawal
Phir rooh khali hai
Mat pucho kya hai haal

- Advertisement -

Adhe adhe se chand pay
Pura kyun ek daag hai
Sad manzar mein hai
Magar phir bhi kyun firaag hai

[Chorus: Danish Roomi]

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai
Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

[Verse 2: Nabeel Akbar]

Ye kesi zindagi k sab mila bus tu nahi,
Sirf manga tujhe tw karun gila mein kiun nahi,
Wohi pe atka bikhra teri meri duriyon se,
Sab se dur betha gaanay likhraha mein studio mein,

Hum phirse ajnabi tw abtk phasay kiun wahi,
Badla zamana jaana par mein ab tk hun wahi,
Ab meri khaamiyan bhi gini jaati khoobiyon mein,
Dhakkay khaatay they kal tk aaj kaam karey moody hokey,

Aagay meri aankhon ke, sapnay guzri hui yaadon ke,
Heeray jesi chamak hai is qalam main khud koyla hoke
Ab tk kiun mjhko dikhay wohi sab phir mere khwaabon mein,
Le mjhko tu baahon mein, kaafi dur dooba hun mein,
Ginti tk ab bhool chuka kitni dafa toota hun mein,

Ab aati hasi kabhi pyaar ka koi naam le tw,
Ab tk taaza zakham jaaney de dabaade maamley ko,
Aana tum fursat se kabhi dil se dil ki baat karne
Kehne ko tw kaafi kuch pr hotay chup jab saamnay wo,

Beshak tum jaan lelo par na karna or ab der
Mat jhootay aasray do, mein nai sakta ab ye jheil,
Kehti mjhe chahti, kabhi deti mjhko gaali,
Mujhe pagal lgti saali uskeliye tw jese hai ye khel,

Bholi si surat ke peeche jese chupi churail,
Mein khud bhi bhoot tw adhoora mein tere bagair,
Doodh ka nai dhula shayad tjhse ziyada bura tbhi,
Tujhe chahta khudse ziyada kesay rakhun tjhse beir,

Na paas waqt na rahay ye pehley jese din,
Mujhe jeena sikhaa gai janeman ye dunya tere bin,
Ankhon mein nami hai par kisi cheez ki kami nahi,
Ab dekh teri jesi kitni bethin mjhe deke dil,

Dekh aake haal mera, pesa deke pyaar lera,
Han mein maan nai raha par ye nasha meri jaan lera,
Gazab zindagi kidher se kahan le aiye hai ye,
Aksar sochta jab dekhun khudko ainay mein.

[Pre chorus: Danish Roomi]

Ab dil bhari hai
Seenay mein kayy hein sawal
Phir rooh khali hai
Mat pucho kya hai haal

Adhe adhe se chand pay
Pura kyun ek daag hai
Sad manzar mein hai
Magar phir bhi kyun firaag hai

[Chorus: Danish Roomi]

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai
Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Track Info

  • Song Name – Talaash Lyrics
  • Artist – Umair Khan aka Jokhay
  • Featuring – Danish Roomi, Shareh, Nabeel Akbar
  • Produced by – Umair Khan aka Jokhay
  • Written by – Danish Roomi, Shareh and Nabeel Akbar
  • Release Date – 21 Nov, 2021

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising