
Zalim Humein Azmana Lyrics
In nafraton ke dareechon se dhundhe
Safkat sa soona thikaana
Daabiz oh khaasa sa kamra tha ye mulk
Jahaan tha sukoon ka sirhaana
Suraj ki humko yun dekar duhaayi
Andhero mein jakde jamaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
In nafraton ka ye baadal banana
Pal pal yun bunde girana
Humko satana, ye baatein sunana
Jillat ki chintein udana
Hum toh ladenge ye fitrat hai apni
Hasti hamari mitana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Wo insha ki Ghazal’e
Wo insaan ki fikrein
Chootti kahan jaane jaana
Andhi parasti, ye kis watan ki
Mera mulk kyun laage begana
Hum toh likhenge ye aadat hai apni
Panno ko chahe jalana
Jab panne jalenge toh raakh toh udengi hi
Raakh-E-Shamandar se utthegi aandhi
Aankho mein kaalikh padegi
Bahega lahu phir ashko ka yaani
Aankhe shahaabi khulegi
Wo bachhe, wo maayein, Sharma ki hawayein
Rukk jaayengi aur ladengi
Mohabbat ke baagho se uthenge baaghi
Gulo mein phir rangat bharegi
Bhagat ki jis aandhi se aayi thi raahat,
Us lahu ki hi laagat lagegi
Bhagat ki jis aandhi se aayi thi raahat,
Us lahu ki hi laagat lagegi
Phir chahe batana nadi ko shamandar,
Chahe jhooth ki lehre udana
Hum dekhenge, Hum bhi dekhenge,
Wo zalim humein aazmaana
wo zalim humein aazmaana
Tere eham aur saare waham
Phir ghul jaayenge us lahu mein
Samandar chatega lahu ka aur niklega
Phir wo sukoon ka thikaana
Julmp sitam ke jo kaazid hai unko
Paigaam bas ye sunana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Zalim humein aazmaana
Track Info
- Track Name – Zalim Humein Azmana Lyrics
- Singer – Poojan Sahil
- Featuring – Aseem Sundan
- Lyrics – Aseem Sundan
- Music – Poojan Sahil
- Song Label – 2020©Poojan Sahil
- Release Date – 30 Jan, 2020
Music Video