Aaj Ke Naam

Released on:

Views:

- Advertisement -
[vc_video link=”https://youtu.be/yEhaan9joj8″]

Aaj ke naam
Aur aaj ke gham ke naam
Aaj ka gham ke hai zindagi ke bhare
Gulsita se khafa, zard patton ka ban
Zard patton ka ban, jo mera desh hai
Dard ki anjuman, jo mera des hai
Unn dukhi maaon ke naam
Unn dukhi maaon ke naam

Raat mein jinke bachche bilakhte hai
Aur neend ki maar khaaye huye
Baajuo se sambhalte nahi
Dukh bataate nahi
Minnat o zaariyo se behalte nahi
Unn haseenaon ke naam
Unn haseenaon ke naam

Jinki aankhon ke gul
Chilmanon aur dareecho ke belon pe
Bekar khil khil ke, murjha gaye hai
Unn byaahtaon ke naam
Unn byaahtaon ke naam

- Advertisement -

Jinke badan be mohabbat riyaatar se
Jo thee saj saj ke, ukta gaye hai
Bewaaon ke naam
Katadiyon aur galiyon
Mohallon ke naam

Jinke naapaak khashak se
Chand raato ko aake
karta hai aksar vazoo

Jinke saayon mein karti hai aahob ka
Aanchalon ki hina, chudiyon ki khanak
Kaakulon ki mehak
Aarzoo mand seeno ki
Apne pasine mein, jalne ki boo
Padhne waalon ke naam

Aaj ke naam
Aur aaj ke gham ke naam
Unn dukhi maaon ke
Unn haseenaon ke
Unn byaahtaon ke naam

[vc_custom_heading text=”Track Info*” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23000000″ google_fonts=”font_family:Acme%3Aregular|font_style:400%20regular%3A400%3Anormal”][dt_vc_list]

  • Song Name – Aaj Ke Naam
  • Singer – Rekha Bhardwaj
  • Lyrics – Faiz Ahmad Faiz
  • Music – Vishal Bhardwaj
  • Movie – Haider
  • Song Label – Times Music
  • Release Date – 12 Sept, 2014

[/dt_vc_list]

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising