Poochta Hai Bharat Lyrics – Khuraafat | KAYOS

Released on:

Views:

- Advertisement -

Poochta Hai Bharat Lyrics

Ayy puchta hai Bharat “Yun mare kitne majdoor?”
Puchta hai Bharat “Kishaan kyun hai majbood?”
Puchta hai Bharat “Kabtak ruk jaayenge rape?”
Puchta hai Bharat “Tumko ghanta bhi hai khed?”
Puchta hai Bharat “Hai media dalaal kyun?”
Puchta hai Bharat “Hai gareeb hi halaal kyun?”
Puchta hai Bharat “Sarkaar se sawaal?”
Puchta hai Bharat “Janta ho rahi lachaar kyun?”

Sawaal to bahot hai bas jawaab hi nahi milte
Ye failaate itna keechad tabhi kamal inke khilte
Rajneeti inka khel ham khilone se hai dikhte
Rakhti chhati par kursi, jitna dhasti utna tikte
Kiya Balatkar, todi haddi khaa gaye haiwaan
Socha bol nahi paayegi aur kaat di jubaan
Uski banenge awaaj, usko milega insaaf
Aur power mein baithe jo inki kinch do jubaan
Media godi mein bithali, phir khabar chalaate jaali
Ye jo chahte woh dikhaate, tum bajao bas thaali
Thaali khaali hai sabki, ghar mein khaane ko na sabji
China andar ghusti ja rahi aur ye ban ka rahe PUBG
Pucho Sarkaar se sawaal toh kahte ki Deshdrohi tum
Unchi karte awaaz un insaan ko kar dete gum
Sab kuch inki mutthi mein jisko chahe kar dete band
Karo jitna crime utna party mein ye lete ye chun

Puchta hai Bharat “Itna faila jaatiwaad kyun?”
Puchta hai Bharat “Bate Hindu-Musalmaan kyun?”
Puchta hai Bharat “Kal tak saare apne saath!”
Puchta hai Bharat “Aaj faile itne hate kyun?”
Puchta hai Bharat “Yuva baithi berojgaar kyun?”
Puchta hai Bharat “Paltu bane patrakaar kyun?”
Puchta hai Bharat “Ab Ram se jyada neta”
Puchta hai Bharat “Desh ka ho raha bura haal kyun?”

- Advertisement -

Berojgari badh rahi sir pe, janta kyun na kaise bhadke
Desh ka future ho raha dark, Mandir-Masjid par ham ladte
Mandir-Masjid bhi jaroori par usse jaroori siksha
Warna aane wala kal ko koi Desh na dega biksha
Gire GDP aur seedhi bhi tode ki upar ana nai
Kishaano ne sambhala inki jeb mein chaar ana nai
Kishaan utre sadko pe toh laathiya chalwa li
Abe budho ko tum maar rahe reham tumhe ata nai
Yeh sharam bech khaate aur laga dete hai manhaani
Gaye pe Rajneeti, par Gaye ko milta chaara nai
Gau maara se tha pyaar na bas khaate the maakhan
Bhari sabha mein bachaayi ijjat aise the wo Kanha ji
Mana nai dil mera paidal chal rahe the majdoor
Itni door se itni door pairo mein khoon
Kat gaye kuch Train ke neeche aake sone ko majboor
Itni saari baatein mujhe yaad kaise jaunga main bhool?

Puchta hai Bharat-
Puchta hai Bharat-
Puchta hai Bharat-
Puchta hai Bharat-

Ye puchta hai Bharat
Puchta hai Bharat
Puchta hai Bharat
Puchta hai Bharat

Sab canga si
Sab canga si
Koi kuch mat bolo sab canga si
Sab canga si
Sab canga si
Janta ho rahi hai andhi sab canga si

Track Info

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising